LYRIC

Zaroori Tha Lyrics from Hindi Singles (2017) sung by Rahat Fateh Ali Khan. This song is composed by Sahir Ali Bagga with lyrics penned by Khalil-ur-Rehman Qamar.

Zaroori Tha lyrics

Lafz kitne hi
Tere pairon se lipte honge
Tune jab aakhiri khat
Mera jalaaya hoga

Tune jab phool
Kitaabon se nikaale honge
Dene wala bhi tujhe
Yaad toh aaya hoga

Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichhadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ki
Hum dhono tawaaf-e-arzoo karte

Magar phir aarzoo ka
Bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha

Bataao yaad hai tumko
Woh jab dil ko churaaya tha
Churaai cheej ko tumne
Khudaa ka ghar banaya tha

Woh jab kehte the
Mera naam tum tasbih
Mein padhte ho
Mohabbat ki namaajo ko
Kara karne se darte ho

Magar ab yaad aata hai
Wo baatein thi mehaz baatein
Kahin baaton hi baaton mein
Mukarna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha

Wahi hai soorate apni
Wahi main hoon, wahi tum ho
Magar khoya huaa hoon main
Magar tum bhi kahin gum ho

Mohabbat mein dagaa ki thi
So kafir the so kafir hain
Mili hain manzilein phir bhi
Musaafir the, musafir hain

Tere dil ke nikaale hum
Kahaan bhatke, kahan pahunche
Magar bhatke toh yaad aaya
Bhatkna bhi zaruri tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichhadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ki
Hum dono tawaaf-e-arzoo karte

Magar phir aarzoo ka
Bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha

Zaroori Tha Lyrics from Rahat Fateh Ali Khan: Zaroori Tha song from Rahat Fateh Ali Khan’s Back to Love album starring Gauhar Khan, Kushal Tandon.

Song Credits:
Song: Zaroori Tha
Singer: Rahat Fateh Ali Khan
Lyrics: Khalil-ur-Rehman Qamar
Music: Sahir Ali Bagga

Added by

lyricsily

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO