LYRIC

Pehle Pyaar Ka Pehla Gham Lyrics by Jubin Nautiyal and Tulsi Kumar is latest Hindi song with music given by Manan Bhardwaj. Pehle Pyaar Ka Pehla Gham song lyrics are written by Rashmi Virag and video is released by T-Series.

Pehle Pyaar Ka Pehla Gham Lyrics

Bin bole yoon tera jaana
Shayad na seh paaye hum
Itni saare saasein hain par
Ik bhi na le paaye hum

Aa bhi jaa na aaye to
Sach much hi na mar jayein hum
Pehle pyaar ka pehla gham
Pehli baar hai aankhe nam

Pehle pyaar ka pehla gham
Pehli baar hai aankhe nam
Pehla hai tanhayi ka yeh mausam
Arre aa bhi jao warna ro denge hum

Mera tann mann saara
Tere rang mein rangaya
Meri rooh mein tera ishq base
Maine sudh budh khoi saara chain ganwaya
Tu jo sath nahi dhadkan na chale

Aa bhi jao warna ro denge hum
Pehle pyaar ka pehla gham

Saj dhaj ke teri main raah takun
Saj dhaj ke teri main raah takun
Tareekh bata kab aaoge
Baat dinon ki ya barson ki
Kitna waqt lagaoge
Aa bhi jao warna ro denge hum

Maana ke doori si hai
Thodi majboori bhi hai
Lekin ik din badlenge yeh mausam
Haan tumko zyada rone na denge hum

Meri nind mein khwab mein sab mein tu
Main teri hoon aur mujhme tu
Hai yakeen khud se zyada tujhpe
Bas itni araj se tod na tu

Aa bhi jao warna ro denge hum
Pehle pyaar ka pehla gham.

Song Credits:
Song: Pehle Pyaar Ka Pehla Gham Lyrics
Singer: Jubin Nautiyal, Tulsi Kumar
Lyrics: Rashmi Virag
Music: Manan Bhardwaj

Added by

Lyricsily

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO